Khwab Mein Amrood Dekhna Ki Tabeer – Khwab mein Amrood dekhna kaisa hai? Tamam tareef ALLAH ke liye aur tamam Durood O Salam Nabi Akhir uz zaman HAzrat Mohammad Rasool ALLAH (Salallahu a’lajhj wa sallam) par.
Agar Khwab Mein Amrood mausam mein khaya hai toh khushi hasil hogi aur maal halal ka paye ga.
Imam Jafar Sadiq Reh’matullahi a’laih ne farmaya hai keh khwab mein amrood dekhna ya khana in wajuhaat ki bina par hai:
- Maal e Halal
- Aurat
- Mard ka pana
- Nafa
Khwab Mein Amrood Dekhna Ya Khana
Hazrat Ibn e Sureen RA ne farmaya hai ke amrood ko apne waqt par khana ke sabz aur shireen hai to halal maal pane ki daleel hai. Aur agar amrood zard yani peela hai toh beemar hoga yani sahib e khwab par bimari ane ki daleeel hai.
Aur agar amrood mausami nahi hai lekin bohat zyada surkh hai aur maza shireen yani meetha hai toh is ki daleel yeh hai ke maal e halal payega. Agar tursh yani khatta hai aur bad-maza hai toh gham ki daleel hai.
Hazrat Kirmani AS ne farmaya hai keh sabz aur shireen amrood mausami dekhna apni murad pana hai aur agar aisa amrood khaye toh bhi nafa ki daleel hai.
Khwab Mein Amrood Dekhna Ya Todna
Khwab mein amrood ka darakht dekhna ki tabeer. Khwab mein darakht se amrood todna is cheez ki daleel hai keh sahib e khwab ke ghar ladki paida hogi ya maal o zar ziyada haath aaye ga.
SEE ALSO>>> Khwab Mein Machli Dekhna Ki Tabeer | Khawab Ki Tabeer
Khwab Mein Tursh (Khatta) Amrood Khana
Khwab Mein Tursh (Khatta) Amrood Khana. Khwab Mein Amrood Dekhna. Agar Khwab mein tursh yani khatta amrood khaya hai toh yeh is baat ki daleel hai keh gam o alam mein mubtala hoga. Agar amrood bad-maza hai toh badbakhti ki alamat hai.
Urdu mein khwab ki tabeer dekhne ke liye hamara Youtube channel aur Facebook page visit karen
خواب میں امرود دیکھنا
خواب میں امرود دیکھنا کی تعبیر – خواب میں امرود دیکھنا کیسا ہے ؟ تمام تعریف اللہ كے لیے اور تمام درود و سلام نبی آخر وز زمان حضرت محمد رسول اللہ ( صلی اللہ علیہ وسلم ) پر
اگر خواب میں امرود موسم میں کھایا ہے تو خوشی حاصل ہوگی اور مال حلال کا پائے گا
SEE ALSO>>> Khwab Mein Chipkali Dekhna | You Should Know
امام جعفر صادق نے فرمایا ہے کہہ خواب میں امرود کا دیکھنا یا كھانا ان وجوہات کی بنا پر ہے
مال حلال
عورت
مرد کا پانا
نفع
خواب میں امرود كھانا
حضرت اِبْن سیرین رحمۃ اللہ نے فرمایا ہے كہ امرود کو اپنے وقت پر كھانا كے سبز اور شیریں ہے تو حلال مال پانے کی دلیل ہے . اور اگر امرود زَرْد یعنی پیلا ہے تو بیمار ہو گا یعنی صاحب خواب پر بیماری آنے کی دلیل ہے
اور اگر امرود موسمی نہیں ہے لیکن بہت زیادہ سرخ ہے اور مزہ شیریں یعنی میٹھا ہے تو اِس کی دلیل یہ ہے كے مال حلال پائیگا . اگر ترش یعنی کھٹا ہے اور بدمزا ہے تو غم کی دلیل ہے
SEE ALSO>>> Khwab Mein Sona Dekhna Ki Tabeer in Urdu
حضرت کرمانی ایز نے فرمایا ہے کہہ سبز اور شیریں امرود ماوسامی دیکھنا اپنی مراد پانا ہے اور اگر ایسا امرود کھائے تو بھی نفع کی دلیل ہے
خواب میں امرود توڑنا
خواب میں امرود کا درخت دیکھنا کی تعبیر . خواب میں درخت سے امرود توڑنا اِس چیز کی دلیل ہے کہ صاحب خواب كے گھر لڑکی پیدا ہوگی یا مال و زَر زیادہ ہاتھ آئے گا
خواب میں ترش ( کھٹا ) امرود كھانا
خواب میں ترش ( کھٹا ) امرود كھانا . اگر خواب میں ترش یعنی کھٹا امرود کھایا ہے تو یہ اِس بات کی دلیل ہے کہ غم و الم میں مبتلا ہو گا . اگر امرود بدمزا ہے تو بدبختی کی علامت ہے