Khwab mein bakra dekhna urf e aam mein insan dost aur barkat ki alamat aur tamam anbiya karam ka pasandeeda janwar hai. Baz riwayat ke mutabiq aksar anbiya karam ne bkari charai hai.
Hazrat Jaffer Sadiq rehmat Allah alaihi ne farmaya hai ke nar bakra khwab mein jungi lashkar ka iqdami dasta hai. Aur agar dekha ke bakray par sawaar hai to alamat hai ke lashkar ki sardari paye ga.
Aur agar khawab dekhnay wala aam aadmi hai. to Daleel hai ke lashkar ke sardar se qurbat ho gi aur maal o Mataa haasil hoga. aur bakri baichnay walay ko dekhna is shakhs ki alamat hai jo mardon aur aurton ko aik jagah jama karta hai.
Khwab Mein Bakra Dekhna
Hazrat ibn Sureen rehmat allah alaihi farmatay hain ke khawab mein bakra mard aur bakri aurat ki alamat hai. Agar dekha ke kisi na maloom bakray ko mara hai to nishani hai ke kisi naamwar aadmi par ghalba paye ga.
Aur agar bakray ka chamra utaartay hue dekha to khushkhabri hai ke bohat sara maal haasil kere ga. Aur agar bakray ka gosht khata dekhe to daleel hai ke maal khaye ga.
Agar khud ko bakray par sawaar daikhta hai aur usay hankta hai. To nishani hai ke kisi naamwar aadmi se makr o fraib kere ga. Aur usay apni mansha par istemaal kere ga .
Khwab Mein Bakra Zibah Karne Ki Tabeer
Agar bakra is ko apni pusht se gira day to alamat hai ke hakim e waqt ke samnay zaleel ho ga. Aur agar is ne bakray ke dono seeng toaray hain to alamat hai ke taaqatwar ko rokay ga.
Aur agar dekhe ke bakray ke baal ziyada ho gaye hain to alamat hai ke is ka maal o zar barhay ga. Aur agar khawab mein bakray ki pasham laita hai to isi qader maal apne farzand ke maal se le ga.
Aur agar khawab bakri kisi ne hadiyan ki hai to alamat hai ke shadi kere ga.
Hazrat ibrahim karmaney rehmat allah alaihi farmatay hain ke agar khawab mein bakri ka doodh nikaal kar piyay to alamat hai ke zoja se maal miley ga. Aur agar bakri ko zibah karta hai aur is ka gosht khata hai to aurat se is ki zaroriat poori ho nge. Aur agar bakri ko apnay ghar se bahar nikalay to biwi ko talaq dainay ki alamat hai .
Khwab Mein Bakriyon Ka Rewar Dekhna
Agar Khwab mein bakriyon ka raywar ghar mein dekhe ya aisi jagah jo is ki malkiat hai to alamat hai ke isi miqdaar mein maal haasil kere ga.
Aur tawangri miley gi. Agar bakriyon ke raywar ko aise jungle mein churata huwa dekhe jahan rok tok nah hai to khabar hai ke kisi ilaqa par haakim banay ga.
Khwab Mein Bakari Ya Bakra Ka Gosht Khana
Hazrat Jabir maghribi rehmat allah taala alaihi ne farmaya agar koi khwab mein bakri ka gosht khaye to bemari ki daleel hai magar is se jaldi shifa paye ga.
Bakri ka pasham, doodh aur chamra khawab mein dekhna barkat aur maal hai. Aur agar bakri ka bacha khawab mein maar diya to daleel hai is ka beta halaak ho ga .
Aur agar bakri ke bachay ka gosht khaye hai to bete ke maal se kuch khaye ga. Hazrat ibrahim karmaney rehmat allah alaihi ke qoul ke mutabiq bakri ka khawab mein dekhna aur gosht khana maal jama karne ki daleel hai.
Jabkay baaz deegar ulama e tabeer ka bayan hai ke jama shuda maal haasil ho ga. Hazrat Jabir maghribi rehmat allah taala alaihi ne farmaya hai ke bakri ko dekhna aur is ka gosht khana aisi haalat mein faida par daleel hai.
Agar bakri manoos aur gosht khush zayega ho. Lekin agar bad mazah aur na manoos hai to museebat aur pareshani ki nishani hai .
Khwab Mein Bakra Kharidna
Hazrat jaffer sadiq rhm allah alaihi Nabi Kareem SAW Ka farmaan paish karte hue batatay hain ke agar koi khwab mein bakra kharid kar ghar ko le gya to is ki maali tangi daur ho gi aur agar koi khawab mein dekhe ke bakri ka bacha Kharida. Ya kisi ne tohfa diya to khushkhabri hai ke is ko farzand saleh ataa hoga
Khwab Mein Qurbani Ka Bakra Dekhna Ki Tabeer
khawab mein qurbani ke bakray ko dekhna maal Mataa mein izafah aur barket ki alamat hai. neez sahib khawab ke liye aajzi aur buzurgi ki bhi Naveed hai .
Khwab Main Bakray Ka Gosht Khata Dekhnay Ki Tabeer
Agar koi khawab mein bakray ka gosht khatay hue. –apne aap ko daikhta hai. To khawab mein bakray ka gosht khana iss ki tabeer achi hai. Yani maal ki alamat hai. Aur pakka sun-hwa hai to ziyada naffa bakhash hai. Aur agar bhana sun-hwa hai to ziyada naffa bakhash hai .
Khwab Mein Kala Bakra Dekhna Ki Tabeer
Kala bakra ya bakri khawab mein dekhnay ko achi alamat qarar nahi dyajata. Balkay anay walay dinon mein khandan ke kisi fard ke bemaar honay ya maali nuqsaan ki daleel samjha jata hai .
Khwab Mein White Bakra Dekhna Ki Tabeer
Khawab mein safaid bakra ya bakri dekhna bohat achi alamat hai. Jis kamtlb hai ke koi barri khushi ya izzat o buzurgi haasil hogi. Aur zindagi mein misbet tabdeelian peda hongi .
Khwab Mein Bakri Ka Bacha Dekhna
Agar bakri jung karti hai aur bakra is par ghalib aa jata hai. To yeh daleel hai ke dushman is par ghalib aa jaye ga. Aur agar dekhe ke bakray ke seeng mazboot aur barray ho gaye hain. To daleel hai ke sahib khawab tawangar aur qawi ho ga
For more please visit our YouTube Channel
خواب میں بکرا دیکھنا
خواب میں بکرا دیکھنا عرف عام میں انسان دوست اور برکت کی علامت اور تمام انبیاء کرم کا پسندیدہ جانور ہے . باز روایت كے مطابق اکثر انبیاء کرم نے بکاری چڑائی ہے
حضرت جعفر صادق رحمت اللہ علیہ نے فرمایا ہے كے نر بکرا خواب میں جنگی لشکر کا یقدامی دستہ ہے . اور اگر دیکھا كے بکرے پر سوار ہے تو علامت ہے كے لشکر کی سرداری پائے گا
اور اگر خواب دیکھنے والا عام آدمی ہے . تو دلیل ہے كے لشکر كے سردار سے قربت ہو گی اور مال و متاع حاصل ہو گا . اور بکری بیچنے والے کو دیکھنا اِس شخص کی علامت ہے جو مردوں اور عورتوں کو ایک جگہ جمع کرتا ہے
حضرت اِبْن سیرین رحمت اللہ علیہ فرماتے ہیں كے خواب میں بکرا مرد اور بکری عورت کی علامت ہے . اگر دیکھا كے کسی نا معلوم بکرے کو مارا ہے تو نشانی ہے كے کسی نامور آدمی پر غلبہ پائے گا
اور اگر بکرے کا چمڑا اتارتے ہوئے دیکھا تو خوشخبری ہے كے بہت سارا مال حاصل کرے گا . اور اگر بکرے کا گوشت کھاتا دیکھے تو دلیل ہے كے مال کھائے گا
اگر خود کو بکرے پر سوار دیکھتا ہے اور اسے حانکتا ہے . تو نشانی ہے كے کسی نامور آدمی سے مکر و فریب کرے گا . اور اسے اپنی منشا پر استعمال کرے گا
خواب میں بکرا ذبح کرنے کی تعبیر
اگر بکرا اِس کو اپنی پشت سے گرا ڈے تو علامت ہے كے حاکم وقت كے سامنے ذلیل ہو گا . اور اگر اِس نے بکرے كے دونوں سینگ توڑے ہیں تو علامت ہے كے طاقتور کو روکے گا
اور اگر دیکھے كے بکرے كے بال زیادہ ہو گئے ہیں تو علامت ہے كے اِس کا مال و زَر بڑھے گا . اور اگر خواب میں بکرے کی پشم لیٹا ہے تو اسی قدر مال اپنے فرزند كے مال سے لے گا
اور اگر خواب بکری کسی نے ھدیہ کی ہے تو علامت ہے كے شادی کرے گا
حضرت ابراہیم کرمانی رحمت اللہ علیہ فرماتے ہیں كے اگر خواب میں بکری کا دودھ نکال کر پیے تو علامت ہے كے زوجہ سے مال ملے گا . اور اگر بکری کو ذبح کرتا ہے اور اِس کا گوشت کھاتا ہے تو عورت سے اِس کی ضروریات پوری ہو نگی . اور اگر بکری کو اپنے گھر سے باہر نکالے تو بِیوِی کو طلاق دینے کی علامت ہے
خواب میں بکریوں کا ریوڑ دیکھنا
اگر خواب میں بکریوں کا ریوڑ گھر میں دیکھے یا ایسی جگہ جو اِس کی ملکیت ہے تو علامت ہے كے اسی مقدار میں مال حاصل کرے گا .
اور تونگری ملے گی . اگر بکریوں کے ریوڑ کو ایسے جنگل میں چراتا ہُوا دیکھے جہاں روک ٹوک نہ ہے تو خبر ہے كے کسی علاقہ پر حاکم بنے گا
خواب میں بکری یا بکرا کا گوشت كھانا
حضرت جابر مغربی رحمت اللہ تعالی علیہ نے فرمایا اگر کوئی خواب میں بکری کا گوشت کھائے تو بیماری کی دلیل ہے مگر اِس سے جلدی شفاء پائے گا
بکری کا پشم ، دودھ اور چامرا خواب میں دیکھنا برکت اور مال ہے . اور اگر بکری کا بچہ خواب میں مار دیا تو دلیل ہے اِس کا بیٹا ہلاک ہو گا
اور اگر بکری كے بچے کا گوشت کھائے ہے تو بیٹے كے مال سے کچھ کھائے گا . حضرت ابراہیم کرمانی رحمت اللہ علیہ كے قول كے مطابق بکری کا خواب میں دیکھنا اور گوشت كھانا مال جمع کرنے کی دلیل ہے
جب کے بعض دیگر علماء تعبیر کا بیان ہے كے جمع شدہ مال حاصل ہو گا . حضرت جابر مغربی رحمت اللہ تعالی علیہ نے فرمایا ہے كے بکری کو دیکھنا اور اِس کا گوشت كھانا ایسی حالت میں فائدہ پر دلیل ہے
اگر بکری مانوس اور گوشت خوش ذائقہ ہو . لیکن اگر بعد مزاح اور نا مانوس ہے تو مصیبت اور پریشانی کی نشانی ہے
خواب میں کالا بکرا دیکھنا کی تعبیر
کالا بکرا یا بکری خواب میں دیکھنے کو اچھی علامت قرار نہیں دیاجاتا . بلکہ آنے والے دنوں میں خاندان كے کسی فرد كے بیمار ہونے یا مالی نقصان کی دلیل سمجھا جاتا ہے
خواب میں سفید بکرا دیکھنا کی تعبیر
خواب میں سفید بکرا یا بکری دیکھنا بہت اچھی علامت ہے . جس کامطلب ہے كے کوئی بڑی خوشی یا عزت و بُزُرْگی حاصل ہوگی . اور زندگی میں مثبت تبدیلیاں پیدا ہونگی .
Khwab Mein Lehsan Aur Pyaz Dekhna
خواب میں بکری کا بچہ دیکھنا
اگر بکری جنگ کرتی ہے اور بکرا اس پر غالب آ جاتا ہے۔ تو یہ دلیل ہے کہ دشمن اس پر غالب آ جائے گا۔ اور اگر دیکھے کہ بکرے کے سینگ مضبوط اور بڑے ہو گئے ہیں۔ تو دلیل ہے کہ صاحب خواب تونگر اور قوی ہو گا
Khwab Mein Saanp Dekhna Ki Tabeer in Urdu
Khwab Mein Magarmach Dekhna Ki Tabeer