Khwab Mein Machli Dekhna Kaisa Hota Hai

Aaj ham ko bateyn ge ke Khwab Mein Machli Dekhna Kaisa Hota Hai. Agar ap janna chahate hain ke Khwab Mein Machli Dekhna Kaisa Hota Hai to ap is post ko pora zaroor parhen

Khwab Mein Machli Dekhna Kaisa Hota Hai
Khwab Mein Machli Dekhna Kaisa Hota Hai

Hazrat danyal alaihi salam farmatay hain ke machli ko garam darya mein dekhna bulaa laa sakti hai aur sard darya mein dekhna farhat o khushi ki alamat hai.

Aur agar bohat si taaza aur barri barri machliyan dekhi hain to maal ghanemat par daleel hai. Aur agar choti choti machliyan dekhe to yeh gham o andoh paye ga .

Aur agar machli ke pait ke darmiyan se merwarid paata hai to is baat ki daleel hai ke is ke haan larka peda ho ga.

Khwab Mein Machli Dekhna Kaisa Hota Hai

Hazrat ibn Sureen Rehma Allah taala alaihi farmatay hain ke agar yeh dekhe ke khawab dekhnay walay ko kisi ne khushk machli di hai to daleel hai ke is ko kisi raees ya badshah se nuqsaan puhanche ga .

Khwab Mein Machli Khana

Aur agar shorbay wali machli khaye to is baat ki daleel hai ke ghulam is ko nuqsaan pohanchaye gi.

Aur baaz ne yeh bayan kya hai ke Bhuni hui machli khaye to taweel safar kere ga jo talabb ilm ya kisi ki sohbat ke liye ho ga. Aur choti machli ka khana jhagra karne ki daleel hai .

Aur agar khawab mein dekhe ke koi cheez machli ke jism se jaisay khoon aur haddi ya phir aur kuch jo machli ke pait mein hota hai is ko paaya hai to daleel hai ke isi qader maal aur kher o barket haasil ho gi ya phir ghulam khareeday ga .

Read Also: Khwab Mein Gosht Dekhna Ki Tabeer in Urdu

Khwab Mein Machli Pakarna

Aur agar khawab mein dekhe ke is ne darya mein barri machli ko pakar liya hai to is baat ki daleel hai ke kisi ke ahal se aurat nihayat hi maldaar kere ga.

Hazrat Jabir Maghribi Rehma Allah Taala Alaihi ne yeh farmaya hai ke khawab mein machli taaza aur bhuni hui maal aur nemat panay ki daleel hai.

Kyun ke taaza machli bahisht ke khaano mein se aik hai aur hazrat eesa alaihi salam ke dustar khawan par bhi mojood thi jo un ke liye aasman se utaara gaya tha.

Aur agar khawab dekhe ke machli ke mun se kuch nikala hai to daleel hai ke kisi kaam mein jhooti baat kahe ga .

Read Also: Khwab Mein Doodh Dekhna Ki Tabeer in Urdu

Aurat Ka Khwab Mein Machli Dekhna Kaisa Hota hai

Agar aurat khawab dekhe ke is ke mun se machli niklee hai to is baat ki daleel hai ke andoh gein aur gham naak ho gi.

Aur agar yeh dekhe ke is ne darya se machli pakar li hai to is baat ki daleel hai ke kisi barray aadmi se maal o nemat paye ga.

Aur agar yeh dekhe ke is ne taaza machli khayi hai to is baat ki daleel hai ke isi qader maal paye ga.

Read Also: Khwab Mein Kutta Dekhna Ki Tabeer

Hazrat ismael Asha’at rehma allah taala alaihi ne farmaya hai. Agar khawab dekhe ke machliyan beech raha hai to daleel hai ke is ko aur is ke logon ko kher o naffa puhanche gi.

Aur agar yeh dekhe ke hoz ya phir neher mein se machli pakar raha hai to is baat ki daleel hai ke aam logon se makr o heelay ke sath koi cheez haasil kere ga.

Aur agar yeh dekhe ke darya ki machliyan is ke sath guftagu karti hain to is baat ki daleel hai ke woh badshah ka raaz doosron par zahir kere ga.

For more visit our Youtube Channel

Read Also: Khwab Mein Barish Dekhna Ki Tabeer in Urdu

خواب میں مچھلی دیکھنا کیسا ہوتا ہے

حضرت دانیال علیہ السلام فرماتے ہیں کہ مچھلی کو گرم دریا میں دیکھنا بلا لا سکتی ہے اور سرد دریا میں دیکھنا فرحت و خوشی کی علامت ہے۔ اور اگر بہت سی تازہ اور بڑی بڑی مچھلیاں دیکھی ہیں تومال غنیمت پر دلیل ہے۔ اور اگر چھوٹی چھوٹی مچھلیاں دیکھے تو یہ غم و اندوہ پائے گا۔

اور اگر مچھلی کے پیٹ کے درمیان سے مروارید پاتا ہے تو اس بات کی دلیل ہے کہ اس کے ہاں لڑکا پیدا ہو گا۔ حضرت ابن سیرین رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ فرماتے ہیں کہ اگر یہ دیکھے کہ خواب دیکھنے والے کو کسی نے خشک مچھلی دی ہے تو دلیل ہے کہ اس کو کسی رئیس یا بادشاہ سے نقصان پہنچے گا۔

خواب میں مچھلی کھانا

اور اگر شوربے والی مچھلی کھائے تو اس بات کی دلیل ہے کہ غلام اس کو نقصان پہنچائے گی۔ اور بعض نے یہ بیان کیا ہے کہ بھنی ہوئی مچھلی کھائے تو طویل سفر کرے گا جو طلب علم یا کسی کی صحبت کے لئے ہو گا۔ اور چھوٹی مچھلی کا کھانا جھگڑا کرنے کی دلیل ہے۔

Read Also: Khwab Mein Amrood Dekhna Ki Tabeer

اور اگر خواب میں دیکھے کہ کوئی چیز مچھلی کے جسم سے جیسے خون اور ہڈی یا پھر اور کچھ جو مچھلی کے پیٹ میں ہوتا ہے اس کو پایا ہے تو دلیل ہے کہ اسی قدر مال اور خیر و برکت حاصل ہو گی یا پھر غلام خریدے گا۔

خواب میں مچھلی پکڑنا

اور اگر خواب میں دیکھے کہ اس نے دریا میں بڑی مچھلی کو پکڑ لیا ہے تو اس بات کی دلیل ہے کہ کسی کے اہل سے عورت نہایت ہی مالدار کرے گا۔

حضرت جابر مغربی رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ نے یہ فرمایا ہے کہ خواب میں مچھلی تازہ اور بھنی ہوئی مال اور نعمت پانے کی دلیل ہے۔ کیوں کہ تازہ مچھلی بہشت کے کھانوں میں سے ایک ہے اور حضرت عیسیٰ علیہ السلام کے دستر خوان پر بھی موجود تھی جو ان کے لئے آسمان سے اتارا گیا تھا۔

اور اگر خواب دیکھے کہ مچھلی کے منہ سے کچھ نکالا ہے تو دلیل ہے کہ کسی کام میں جھوٹی بات کہے گا۔

عورت کا خواب میں مچھلی دیکھنا کیسا ہوتا ہے

اگر عورت خواب دیکھے کہ اس کے منہ سے مچھلی نکلی ہے تو اس بات کی دلیل ہے کہ اندوہ گیں اور غم ناک ہو گی۔ اور اگر یہ دیکھے کہ اس نے دریا سے مچھلی پکڑ لی ہے تو اس بات کی دلیل ہے کہ کسی بڑے آدمی سے مال و نعمت پائے گا۔

اور اگر یہ دیکھے کہ اس نے تازہ مچھلی کھائی ہے تو اس بات کی دلیل ہے کہ اسی قدر مال پائے گا۔ حضرت اسماعیل اشعت رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ نے فرمایا ہے۔

اگر خواب دیکھے کہ مچھلیاں بیچ رہا ہے تو دلیل ہے کہ اس کو اور اس کے لوگوں کو خیر و نفع پہنچے گی۔ اور اگر یہ دیکھے کہ حوض یا پھر نہر میں سے مچھلی پکڑ رہا ہے تو اس بات کی دلیل ہے کہ عام لوگوں سے مکر و حیلے کے ساتھ کوئی چیز حاصل کرے گا۔

اور اگر یہ دیکھے کہ دریا کی مچھلیاں اس کے ساتھ گفتگو کرتی ہیں تو اس بات کی دلیل ہے کہ وہ بادشاہ کا راز دوسروں پرظاہر کرے گا۔

Leave a Comment