Aaj iss article main ham ap ko Khwab Mein Khoon Dekhna Ki Tabeer in Urdu Hindi. Khwab
Mein Janwar Ka Khoon Dekhna, Khwab Mein Kisi Ko Zakhmi Dekhna, ya ghar mein khoon dekhna ya
hamla aurat ka khwab mein blood dekhna ki tabeer.
Table of Contents
Khwab Mein Khoon Dekhna Ki Tabeer
Hazrat Imam jafar sadiq ne farmaya ke khwab mein khoon dekhna 3 wajah par hai. 1. fatah paana. 2. Khair o Nafa Ka hasol. 3. maal ka nuqsan.
Khwab Mein Khoon Dekhna Kaisa Hota Hai
Kiun kay yeh aik zahir si baat hai jisay har Zee shaoor samajh sakta hai. ke khoon kisi barray fasad ki soorat mein nikalta ya bahaya jata hai. aur fasaad ko daur kya jata hai.
Read More: Khawab Main Zalzala Dekhna
Ya maal o zar ke tahaffuz ya husool ke liye khoon ka saamna krna parta hai. aur un sooraton mein naffa o nuqsan dono posheeda hain. fatah o nusrat bhi mil sakti hai. maal o asbab bhi haasil hotay hain. aur jani o mali nuqsaan ki soorat bhi ban sakti hai.
So khawab mein khoon ke dekhnay ki zahiri alamaat yahi qarar paati hain. lekin yeh laazmi bhi nahi ke khawab ki tabeer kaamil tor par unhi bunyadon par samnay aaye. is ke ilawa bhi dheron tabiraat samnay askati hain.
Khwab Mein Kisi Ka Khoon Dekhna
Agar khwab mein zakham dekhe aur khoon ka nishan bhi zahir ho to alamat hai ke zakham laganay walay se naffa aur faida haasil kere ga. Agar apne jism se aisi haalat mein khoon nikalta dekhe ke zahiri tor par zakham mojood nah ho. to yeh alamat hai ke kisi se nuqsaan aur zarrar puhanche ga.
Read MoreL Khwab Mein Doodh Dekhna Ki Tabeer in Urdu
Aur agar zakham bhi dekhe to andesha hai ke maal kabhi nuqsaan hoga. aur gham bhi sahy ga. Agar dekhe ke talwar se zakham laga hai. to Daleel hai ke lamba arsa takleef mein mubtala hoga. magar is par sawab paye ga. Agar dekhe ke zakham ke khoon se kapray aaloda hogaye hain. to maal haraam haasil kere ga.
Khwab Mein Khoon Dekhna Kaisa Hai
Hazrat Ibrahim Kirmaney farmatay hain ke agar dekhe ke khoon piya hai. to alamat hai ke maal haraam khaye ga ya khon-e na-haq kere ga. Agar dekhe ke jism mein sorakh hai aur is se peep aur khoon jari hai aur kapray aaloda hue hain. to isi qader maal na-haq haasil kere ga. Agar dekhe ke uzoo e tanasul se khoon nikla hai to daleel hai ke is ki beti ka isqaat hamal hoga.
Read More: Khwab Mein Janaza Dekhna Ki Tabeer in Urdu
Agar pakhana ki jagah se khoon nikalta dekhe to yeh bhi rizaq haraam milnay ki Daleel hai. Aur agar dekhe ke danoton ki jaroon se khoon nikla hai. to yeh Daleel hai ke apne ghar walon se dukh uthaye ga. aur agar dekhe ke shehar ke gali kochoon mein khoon jari hai. to alamat hai ke bohat barri khoonrezi hogi.
Hazrat Danyal Alaihi Salam ne bhi khoon ki tabeer mein aksar maal o mata ke nuqsaan ko zikar frmaya hai.
Khwab Mein Khon Saaf Karna
Agar koi khawab mein daikhta hai ke woh khoon ko roknay ki koshish kar raha hai ya khoon saaf kar raha hai. to yeh iss baat ki Daleel hai ke woh museebat aur pareshani se nijaat haasil kere ga.
Khwab Mein Kisi Ka Khoon Nikalte Dekhna
Khawab mein kisi ka khoon nikalta dekhna bhi isi tor par is ke nuqsaan ya takleef ki alamat ho sakta hai. jabkay jis ko khawab mein dekha jaye. is ki haalat o kafiyat ke ilm ke baghair durust tabeer mumkin nahi. khawab mein kisi ko zakhmi dekhna. is mein bhi usool tabeer taqreeban aik hi hai aur woh naffa. maal haraam ya nuqsaan ka andesha shaamil hai. magar is ka tayyun karna sahib khawab aur jis ko khawab mein dekha. un ke apas ke taqat ki noiyat ka parkhna zaroori hai. tabhi durust nataij akhaz krna mumkin hai.
Mazeed tabiraat ke liye hamara Youtube Channel visit karen