Khwab Mein Angoor Dekhna – Hazrat Daniyal rehma allah taala alaihi ne farmaya hai ke mausam par khawab mein siyah angoor khana gham o andoh ki daleel hai. Aur be waqt khauf aur dar hai.
Khwab Mein Kale Angoor Dekhna
Ahal tabeer ne yeh bayan kya hai ke siyah angoor ke har aik danay khaye hue ke shumaar par is ko gham miley ga
Read More: Khwab Mein Aam Dekhna Ki Tabeer | Full Detail
Khwab Mein Safaid Angoor Dekhna
Aur angoor safaid ka waqt par khana is baat ki daleel hai ke khawab dekhnay walay ko is ki umeed se barh kar duniya ki kher aur nemat miley gi aur be mausam khana is baat ki daleel hai ke sahib khawab ke mun se koi cheez niklay gi.
Is baat ki daleel hai ke maal ka kharch kere ga war angoor surkh khanay ki bhi yahi daleel hai .
Read More: Khwab Mein Machli Dekhna Kaisa Hota Hai
Khwab Mein Angoor Dekhna
Hazrat ibn Sureen Rehmat Allah Taala Alaihi farmatay hain ke khawab mein safaid angoor mausam mein khana maal o doulat milnay ki daleel hai magar yeh maal o doulat mehnat se miley ga.
Surkh angoor mausam mein khana thoray se naffa milnay ki daleel hai .
Jis angoor ka chilka sakht hota hai. Is angoor ka khawab mein khana maal milnay ki daleel hai, yeh maal mushkil se miley ga. Aur halkay chilkay wala angoor khana maal halal ki daleel hai.
Aur jis angoor ka pani siyah hota hai woh maal haraam ki daleel hai aur jo angoor sheree aur pakeeza tar hota hai. Woh maal o jah aur zayad-ti izzat milnay ki daleel hai .
Read More: Khwab Mein Gosht Dekhna Ki Tabeer in Urdu
Khwab Mein Angoor Dekhna or Khana
Hazrat Jabir Maghribi rehmat allah taala alaihi farmatay hain ke agar koi shakhs khwab mein yeh dekhe ke angoor lakri ke ozaar se nichor raha hai to is baat ki daleel hai ke khawab dekhnay wala zalim badshah ki khidmat kere ga.
Aur agar eent ya matti se nichor raha hai to is baat ki daleel hai ke dayanat daar badshah ki khidmat kere ga aur agar paki eent ya gch ya choonay se nichor raha hai to is baat ki daleel hai ke باسیاست aur باہیبت badshah ki khidmat kere ga .
Aur agar yeh dekhe ke angoor tasht mein nichor raha hai to is bat ki daleel hai ke kisi ameer aurat ki khidmat kere ga
Aur agar khawab dekhe ke angoor ko pyaale mein nichor raha hai to is daleel hai ke kisi kaminey shakhs ki khidmat kere ga.
Read More: Khwab Mein Dant Tootna Ki Tabeer | Full Guide
Khwab Mein Angoor Dekhna Ki Tabeer
Aur agar sheerah nichor kar matkon mein daal raha hai to is baat ki daleel hai ke badshah ke zariye se –apne liye bohat ziyada maal jama kere ga
Aur agr angoor ahal o ayal samait nichor raha hai to is baat ki daleel hai ke is ko aur is ke ahal o ayal ko badshah ki khidmat se faida haasil ho ga.
Aur agar khawab dekhnay wala shakhs kisi badshah ki khidmat ke laiq nahi hai to phir is ko kisi aur ameer ya haakim se faida haasil ho ga .
Hazrat Jaffer Sadiq razi allah taala anho ne farmaya hain ke siyah aur safaid angoor waqt par aur be waqt par khawab mein dekhna teen wajohaat par hai.
- Awwal, farzand naik .
- doum, ilm faraiz .
- soum, maal halal .
Neez aap ne yeh bhi farmaya hai ke angoor ka nichorna bhi teen wajohaat par hai .
- Awwal, maal ya kher o barket ( kher o barket : bhalai aur behtari )
- doum, farakhi nemat .
- Soum, qeht se aman paana
For more visit our Youtube Channel
Khwab Mein Angoor Dekhna in Urdu
خواب میں انگور دیکھنا
حضرت دانیال رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ نے فرمایا ہے کہ موسم پر خواب میں سیاہ انگور کھانا غم و اندوہ کی دلیل ہے۔ اور بے وقت خوف اور ڈر ہے۔
خواب میں سیاہ انگور دیکھنا
اہل تعبیر نے یہ بیان کیا ہے کہ سیاہ انگور کے ہر ایک دانے کھائے ہوئے کہ شمار پر اس کو غم ملے گا اور انگور سفید کا وقت پر کھانا اس بات کی دلیل ہے کہ خواب دیکھنے والے کو اس کی امید سے بڑھ کر دنیا کی خیر اور نعمت ملے گی
Read More: Khwab Mein Khoon Dekhna Ki Tabeer in Urdu
اور بے موسم کھانا اس بات کی دلیل ہے کہ صاحب خواب کے منہ سے کوئی چیز نکلے گی۔اس بات کی دلیل ہے کہ مال کا خرچ کرے گا ور انگور سرخ کھانے کی بھی یہی دلیل ہے۔
خواب میں سفید انگور دیکھنا
حضرت ابن سیرین رحمتہ اللہ تعالیٰ علیہ فرماتے ہیں کہ خواب میں سفید انگور موسم میں کھانا مال و دولت ملنے کی دلیل ہے مگر یہ مال و دولت محنت سے ملے گا۔ اور سرخ انگور موسم میں کھانا تھوڑے سے نفع ملنے کی دلیل ہے ۔
جس انگور کا چھلکا سخت ہوتا ہے ۔ اس انگور کا خواب میں کھانا مال ملنے کی دلیل ہے ، یہ مال مشکل سے ملے گا۔ اور ہلکے چھلکے والا انگور کھانا مال حلال کی دلیل ہے۔
اور جس انگور کا پانی سیاہ ہوتا ہے وہ مال حرام کی دلیل ہے اور جو انگور شیریں اور پاکیزہ تر ہوتا ہے ۔ وہ مال و جاہ اور زیادتی عزت ملنے کی دلیل ہے ۔
Read More: Khwab Mein Bacha Dekhna Ki Tabeer In Urdu
حضرت جابر مغربی رحمتہ اللہ تعالیٰ علیہ فرماتے ہیں کہ اگر کوئی شخص خواب میں یہ دیکھے کہ انگور لکڑی کے اوزار سے نچوڑ رہا ہے تو اس بات کی دلیل ہے کہ خواب دیکھنے والا ظالم بادشاہ کی خدمت کرے گا۔
اور اگر اینٹ یا مٹی سے نچوڑ رہا ہے تو اس بات کی دلیل ہے کہ دیانت دار بادشاہ کی خدمت کرے گا اور اگر پکی اینٹ یا گچ یا چونے سے نچوڑ رہا ہے تو اس بات کی دلیل ہے کہ باسیاست اور باہیبت بادشاہ کی خدمت کرے گا۔
اور اگر یہ دیکھے کہ انگور طشت میں نچوڑ رہا ہے تو اس بت کی دلیل ہے کہ کسی امیر عورت کی خدمت کرے گا اور اگر خواب دیکھے کہ انگور کو پیالے میں نچوڑ رہا ہے تو اس دلیل ہے کہ کسی کمینے شخص کی خدمت کرے گا۔
اور اگر شیرہ نچوڑ کر مٹکوں میں ڈال رہا ہے تو اس بات کی دلیل ہے کہ بادشاہ کے ذریعے سے اپنے لئے بہت زیادہ مال جمع کرے گا اوراگر انگور اہل و عیال سمیت نچوڑ رہا ہے تو اس بات کی دلیل ہے کہ اس کو اور اس کے اہل و عیال کو بادشاہ کی خدمت سے فائدہ حاصل ہو گا
اور اگر خواب دیکھنے والا شخص کسی بادشاہ کی خدمت کے لائق نہیں ہے تو پھر اس کو کسی اور امیر یا حاکم سے فائدہ حاصل ہو گا۔