Khwab Mein Aam Dekhna Ki Tabeer | Full Detail

Khwab mein aam dekhna rizaq aur khushi milnay ki daleel hai, aur yeh kaha jata hai ke jis ne khawab mein aam dekhe is ke raaz doosron ke supurd kar diye jatay hain kyun ke aam ke andar aik bara beej hota hai,

Khwab Mein Aam Dekhna Ki Tabeer
Khwab Mein Aam Dekhna Ki Tabeer

Khawab Mein Aam Baichna

Khwab mein aam baichnay walay ko dekhna is shakhs ki taraf ishara karta hai jis ke paas paisa hai.

Aisay khawab se faida hota hai, aur khwab mein aam dekhna kanwari aurton ke liye un ki pareshaniyon ke khatam honay ki taraf ishara karta hai, aur shadi shuda aurat ke liye aam dekhna is ki khushi aur is ke mamlaat ko aasaan bananay ki alamat samjhi jati hai .

Read More: Khwab Mein Gosht Dekhna Ki Tabeer in Urdu

Khwab Mein Aam Dekhna

Kaha jata hai ke khwab mein aam dekhna bohat ziyada nematon aur barkatoon ke husool ka zareya hai.

Ghareebon ke liye khwab mein aam dekhna rizaq mein izafah aur daulat mandi jab ke ameeron ke liye maal mein mazeed izafay ki daleel hai aur mareez ke liye khawab mein aam dekhna mareez ki sehat yabi par daleel hai .

Khwab Mein Zard Aam Dekhna Kaisa ?

Khwab mein zard aam dekhna babarkat aur halal rozi ki daleel samjhi hai, shayad khwab mein zard aam dekhna qanaat aur zindagi par dalalat karta hai, aur jo shakhs yeh dekhe ke woh khwab mein zard aam kha raha hai to woh halal maal kamaye ga .

Read More: Khwab Mein Dant Tootna Ki Tabeer | Full Guide

Khwab Mein Peelay Aam Ko Cheelna Kaisa ?

Khwab Mein Aam Dekhna Ki Tabeer
Khwab Mein Aam Dekhna Ki Tabeer

Khwab mein peelay aam ko cheelna khwab dekhnay walay ki sab pareshaniyon aur mushkilaat ke khatmay ki daleel hai .

Khwab mein zard aamon ko kharidna naffa ki taraf ishara karta hai aur khawab mein kisi shakhs se zard aam haasil karna naseehat aur rahnumaiye ki qabuliat par dalalat karta hai .

Read More: Khwab Mein Doodh Dekhna Ki Tabeer in Urdu

Khwab Mein Sarhe Hue Peelay Aam Ka Kharidna Kaisa ?

Khwab mein srhe hue peelay aam ka khareedna paisay ke nuqsaan ki taraf ishara karta hai .

Khwab Mein Kisi Ko Aam Dena

Aur jo shakhs yeh dekhe ke woh khwab mein doosron ko zard aam khila raha hai to yeh is ki Allah ki makhlooq se mohabbat aur unki zaroraton ko poora karne mein madad karne ki taraf daleel hai

Aur khwab mein marey hue se zard aam lainay ka matlab yeh hai ke dekhnay walay ko bohat ziyada ajar miley ga. Aisi rozi jis ki woh tawaqqa nahi rakhta .

Read More: Khwab Mein Amrood Dekhna Ki Tabeer

Khawab Mein Sabz Aam Dekhna Kaisa ?

Khawab mein sabz aam ko dekhna is ke khattay zaiqay ki wajah se bemari ko zahir kar raha hai .

Khawab mein sabz aam ko khana bimarion aur vabaon ki taraf daleel hai, khawab mein sabz aamon ko khareedna khasaray ki tijarat mein daakhil ho jane ki taraf ishara hai.

Aur srhe hue sabz aam ka khawab museebat mein mubtala ho jane ki taraf ishara karta hai .

Khwab Mein Kacha Aam Dekhna Kaisa Hai

Khwab mein sabz kacha aam ka ras thakawat ki taraf ishara karta hai aur jo shakhs yeh dekhe ke woh khwab mein kisi maroof shakhs se sabz aam laita hai to khawab dekhnay walay ko is se nuqsaan puhanche ga .

For more visit our YouTube Channel and Facebook Page

خواب میں آم دیکھنا کیسا ؟

Khwab Mein Aam Dekhna Ki Tabeer
Khwab Mein Aam Dekhna Ki Tabeer

خواب میں آم دیکھنا رزق اور خوشی ملنے کی دلیل ہے ، اور یہ کہا جاتا ہے کہ جس نے خواب میں آم دیکھے اس کے راز دوسروں کے سپرد کر دئیے جاتے ہیں کیوں کہ آم کے اندر ایک بڑا بیج ہوتا ہے،

خواب میں آم بیچنے والے کو دیکھنا اس شخص کی طرف اشارہ کرتا ہے جس کے پاس پیسہ ہے۔ ایسے خواب سے فائدہ ہوتا ہے، اور خواب میں آم دیکھنا کنواری عورتوں کے لیے ان کی پریشانیوں کے ختم ہونے کی طرف اشارہ کرتا ہے،

اور شادی شدہ عورت کے لیے آم دیکھنا اس کی خوشی اور اس کے معاملات کو آسان بنانے کی علامت سمجھی جاتی ہے۔

کہا جاتا ہے کہ خواب میں آم دیکھنا بہت زیادہ نعمتوں اور برکتوں کے حصول کا ذریعہ ہے ۔

غریبوں کے لیے خواب میں آم دیکھنا رزق میں اضافہ اوردولت مندی جب کہ امیروں کے لیے مال میں مزید اضافے کی دلیل ہے اور مریض کے لیے خواب میں آم دیکھنا مریض کی صحت یابی پر دلیل ہے ۔

خواب میں زرد آم دیکھنا کیسا ؟

خواب میں زرد آموں کو دیکھنا بابرکت اور حلال روزی کی دلیل سمجھی ہے، شاید خواب میں زرد آم دیکھنا قناعت اور زندگی پر دلالت کرتا ہے، اور جو شخص یہ دیکھے کہ وہ خواب میں زرد آم کھا رہا ہے تو وہ حلال مال کمائے گا۔

خواب میں پیلے آم کو چھیلنا کیسا ؟

خواب میں پیلے آم کو چھیلنا خواب دیکھنے والے کی سب پریشانیوں اور مشکلات کے خاتمے کی دلیل ہے۔

خواب میں زرد آموں کو خریدنا نفع کی طرف اشارہ کرتا ہے اور خواب میں کسی شخص سے زرد آم حاصل کرنا نصیحت اور راہنمائی کی قبولیت پر دلالت کرتا ہے۔

خواب میں سڑے ہوئے پیلے آم کا خریدنا کیسا ؟

Khwab Mein Aam Dekhna Ki Tabeer
Khwab Mein Aam Dekhna Ki Tabeer

خواب میں سڑے ہوئے پیلے آم کا خریدنا پیسے کے نقصان کی طرف اشارہ کرتا ہے۔

اور جو شخص یہ دیکھے کہ وہ خواب میں دوسروں کو زرد آم کھلا رہا ہے تو یہ اس کی اللہ کی مخلوق سے محبت اور انکی ضرورتوں کو پورا کرنے میں مدد کرنے کی طرف دلیل ہے

اور خواب میں مرے ہوئے سے زرد آم لینے کا مطلب یہ ہے کہ دیکھنے والے کو بہت زیادہ اجر ملے گا۔ ایسی روزی جس کی وہ توقع نہیں رکھتا ۔

خواب میں سبز آم دیکھنا کیسا ؟

خواب میں سبز آم کو دیکھنا اس کے کھٹے ذائقے کی وجہ سے بیماری کو ظاہر کر رہا ہے ۔

خواب میں سبز آم کو کھانا بیماریوں اور وباؤں کی طرف دلیل ہے، خواب میں سبز آموں کو خریدنا خسارے کی تجارت میں داخل ہو جانے کی طرف اشارہ ہے، اور سڑے ہوئے سبز آم کا خواب مصیبت میں مبتلا ہو جانے کی طرف اشارہ کرتا ہے۔

خواب میں سبز آم کا رس تھکاوٹ کی طرف اشارہ کرتا ہے اور جو شخص یہ دیکھے کہ وہ خواب میں کسی معروف شخص سے سبز آم لیتا ہے تو خواب دیکھنے والے کو اس سے نقصان پہنچے گا۔

Khwab Mein Aam Dekhna Ki Tabeer

Leave a Comment